Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه ZunNooraiñ 5⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*_🥀 Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه ZunNooraiñ 🥀_*
*(Post #05)*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
✏️ Riwayat hai ke baaghiyo ki hiladbaziyoñ ke sabab 3 din tak aapka muqaddas jism be gaur o kafan pada raha, phir chand jaanisaaroñ ne raat ki tareeki mein aapke janaaza mubarak ko utha kar jannatul baqee mein pahuncha diya, aur aapki muqaddas qabr khodne lage achanak un logoñ ne dekha ke sawaroñ ki ek bahut badi jama'at unke peeche peeche jannatul baqee mein dakhil huwi un sawaroñ ko dekh kar logoñ par aisa khauf taari huwa ke kuch logoñ ne janaza mubarak ko chordh kar bhaag jaane ka irada kar liya, yeh dekh kar sawaroñ ne ba-Awaaze buland kaha aap log thehre raheñ aur bilkul na darey humlog bhi inki tadfeen mein shirkat ke liye yahañ haazir huwe hai yeh awaaz sun kar logoñ ka khauf door hogaya aur itminaano sukoon ke saath logoñ ne aap ko dafn kiya.
Qabrastan se laut kar un sahabiyo ne kasam khaa kar logoñ se kaha ke yaqeenan yeh farishton ki jama'at thi.
Aap is haal mein shaheed huwe ke tilawate Quran farma rahe the aur aapke khoon ka pehla qatra Quran ki Aayat par gira.
Aap 18 zilhijjah 35 Hijri baroze jumu'ah ko martabae shahadat par faaez huwe aap ki khilafat ka daur kamobesh 12 saal raha.
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें