2 Martaba Jannat Kharidi**Gazwa E Tubuk3⃣
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*_🥀 Shaan e Hazrat Usman e Gani رضي الله عنه ZunNooraiñ 🥀_*
*(Post #03)*
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
✏️ *2 Martaba Jannat Kharidi*
*Gazwa E Tubuk*
"Hazrat Abdul Rahman Bin Sumara رضي الله عنه bayan karte hai ke Hazrat Sayyiduna Usman E Gani رضي الله عنه Gazwa E Tubuk ke liye 1000 Dinaar Rasulallah ﷺ ki Bargah mein lekar aaye toh maine dekha ke Huzoorﷺ un dinaro ko lekar apni jholi mein ulat palat kar rahe hai aur farma rahe hai, "Aaj ke baad Usman ko uska koi Amal Nuqsan Nahi pohchayega". Aapne yeh baat 2 martaba farmayi.
📚Sunan Tirmizi#3701.
Gazwa E Tubuk ke mauqe par sukha pada hua tha aur lashkar ki tayyari ke liye Huzoor ﷺ ne Sahaba رضوان الله عليهم أجمعين ko farmaya toh sabse zyada Hazrat Usman رضي الله عنه ne kharch kiya iss waqiye ko aapne baagiyo ke saamne farmaya ke "Kya tum nahi jaante ke Rasulallahﷺ ne farmaya jo shaks Jaishe Usra (Tubuk ka lashkar) tayyar karega uske liye Jannat hai,toh maine usey tayyar kiya tha"
📚Saheeh Bukhari#2778.
*Bi're Ruma*
Hazrat Usman رضي الله عنه ne bagiyo se farmaya kya tum nahi jaante Rasulallah ﷺ ne farmaya jisne Ruma ka kuwa khoda(yaani usey kharidkar waqf kiya) toh uske liye Jannat hai toh maine uss kuwe ko khoda(kharidkar waqf kiya) tha"
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें